Main Agar Kahoon Lyrics

 

“Main Agar Kahoon”

Tumko paaya hai to jaise khoya hoon
kehna chahoon bhi to tumse kya kahoon
kisi zabaan mein bhi
vo lavz hi nahi ki jinme tum ho kya tumhe bata sakoon
main agar kahoon tumsa haseen

qaynat mein nahi hain kaheen
taareef yeh bhi toh
sach hai kuch bhi nahi tumko paaya hain to jaise khoya hoon
shokhiyon mein doobi yeh adaayein
chehre se jhalki huyi hain
zulf ki ghani gahni ghatayen

shaan se dhalki huyi hain
lehrata aanchal
hai jaise baadal

baahon mein bhari hain jaise chaandni
roop ki chaandni
main agar kahoon

yeh dilkashi
hai nahi kaheen na hogi kabhi
taareef yeh bhi to sach hain kuch bhi nahi

tumko paaya hai to jaise khoya hoon

tum huye mehrbaan toh hai yeh daastaan
ab tumhara mera hai ek hai caravan
tum jahaan main vahaan

main agar kahoon hamsafar meri
apsara ho tum ki ya koi pari
tareef yeh bhi to sach hai kuch bhi naheen

tumko paaya hai to jaise khoya hoon
kehna chahoon bhi to tumse kya kahoon
kisi zaban mein bhi vo lavz hi nahi
ki jinme tum ho kya tumhe bataan sakoon

main agar kahoon tumsa haseen
qaynat mein nahi hai kaheen
tareef yeh bhi to
sach hai kuch bhi nahi

About Sonu Nigam, Shreya Ghoshal Lyrics

Artist: Sonu NigamShreya Ghoshal
Album: Om Shanti Om
Release date: 2007
Lyricist: Javed Akhtar
Music: Vishal-Shekhar
Label: T-Series
Directed: Farah Khan

Leave a Comment