“Fursat Hai Aaj Bhi”
Bhulna kya bhulana kya
Ruthna kya manana kya
Dil ko behlane ka
Aur bas hai bahana kya..
Zindagi ka thikaana kya
Dil kabhi tha sayana kya
Ruh mein tu hai mehfooz
Fir tera jaana kya..
Tujhe khoya nahin tha kabhi
Tu hai yahi kahin aaj bhi..
Fursat ka jo har lamha hai
Mujhse bas ye kehta hai
Aadat teri baato ki aaj bhi
Aaj bhi..
Teri aankho ne jo dekhe thai
Meri aankho mein vo sapne hain
Sarhad nahin khwaabo ki aaj bhi
Tu hai aaj bhi..
Bin bulaaye ye aana kya
Aa gye to hai jana kya
Teri yaado se behtar hai
Dil ka thikaana kya..
Tere mere vo pal meethe
Kam lage saath jo beete
Par tu hai dur yeh meri
Aankho ne mana kya..
Tujhe bhula nahin tha kabhi
Tu hai mere kareeb, aaj bhi..
Fursat ka jo har lamha hai
Mujhse bas ye kehta hai
Aadat teri baato ki aaj bhi
Aaj bhi..
Teri aankho ne jo dekhe thai
Meri aankho mein vo sapne hain
Sarhad nahin khwaabo ki aaj bhi
Tu hai aaj bhi..
About Arjun Kanungo Lyrics
Artist: Arjun Kanungo
Album: Fursat Hai Aaj Bhi
Release date: 2020
Lyricist: Mayur Puri
Music: Arjun Kanungo
Director: Keyur Shah
Label: VYRL Originals
Cast: Arjun Kanungo, Sonal Chauhan